Abrar Kiratpuri

baghban jashn-e-bahaaran nahin hone dete

Abrar Kiratpuri

Bijnor, Uttar pradesh, India

bāġhbāñ jashn-e-bahārāñ nahīñ hone dete
diip ulfat ke farozāñ nahīñ hone dete
zahr ulfat kā pilāte haiñ baḌe faḳhr ke saath
aap insān ko insāñ nahīñ hone dete
ḳhud-numā.ī meñ kuchh is tarah giraftār haiñ ham
aur logoñ ko numāyāñ nahīñ hone dete
aql ko shoḳhī-e-bātil meñ phañsāne vaale
qalb ko sāhib-e-īmāñ nahīñ hone dete
ġham se nisbat hai jinheñ zabt-e-alam karte haiñ
ashk ko zīnat-e-dāmāñ nahīñ hone dete
rūh-e-afkār ko me.aar atā karte haiñ
ham ḳhayālāt ko uryāñ nahīñ hone dete
chand lamhe vo mire sāmne rah kar 'abrār'
chashm-e-betāb ko hairāñ nahīñ hone dete
Top Urdushayar.com