Jigar Barelvi

burai kya hai tum ilzam do burai ka

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
burā.ī kyā hai tum ilzām do burā.ī kā
bashar huuñ maiñ mujhe da.avā nahīñ ḳhudā.ī kā
kiyā hai sajda kabhī yā nahīñ kiyā ḳhush huuñ
jabīñ pe daaġh nahīñ sajda-e-riyā.ī kā
kisī ke ishq meñ dīvāne ham na gar hote
to raaz khul nahīñ saktā thā pārsā.ī kā
zarā tum ab kahīñ chhup jaao har taḌap lau haiñ
ki yaad aayā hai mujh ko mazā judā.ī kā
nahīñ hai merī kisī aur kī hai ye bhī hadīs
qusūr-vār agar huuñ maiñ ḳhud-satā.ī kā
jise yaqīñ hai ki us ke nasīb meñ tum ho
gunāh kyuuñ vo kare qismat-āzmā.ī kā
ravāñ-davāñ huuñ mujhe apnī dhun meñ hosh kahāñ
bahāna le ke jo baiThūñ shikasta-pā.ī kā
usī kī raah meñ kāñTe bichhā.e jaate haiñ
nasīb uzr jise hai barahna-pā.ī kā
kise hai ilm nasīboñ meñ mire aap nahīñ
ḳhayāl chhoḌ duuñ kyuuñ qismat-āzmā.ī kā
jo ishq aam hai mere liye hai nañg-e-hayāt
madār aur hai merī ġhazal-sarā.ī kā
baḌā maza thā taḌapne meñ tilmilāne meñ
na bhūltā hai na bhūlegā din judā.ī kā
chaman ho aur shab-e-mahtāb-o-halqa-e-ahbāb
maza jabhī hai 'jigar' kuchh ġhazal-sarā.ī kā
Top Urdushayar.com