chhuT ke ye qaid-e-makāñ se lā-makāñ tak jā.egī
bahr-e-dil kī mauj bahr-e-be-karāñ tak jā.egī
ik zarā mahmez kar phir dekh is ke bāl-o-par
fikr kī parvāz bām-e-āsmāñ tak jā.egī
chupke chupke hī bhaḌak uTheñge jab andoh-e-ġham
chupke chupke aañch bhī qalb-e-tapāñ tak jā.egī
tum jalāo to sahī rāsiḳh yaqīñ kī mish.aleñ
jur.at-e-dil vādī-e-azm-e-javāñ tak jā.egī
pūchhtā phirtā huuñ maiñ har raah se dīvāna-vār
ziist aa.ī hai kahāñ se aur kahāñ tak jā.egī
maiñ ḳhulūs-e-dil se 'hādī' jab pukārūñgā use
har sadā-e-nā-tavāñ us ke makāñ tak jā.egī