Manohar Lal  Hadi

insan ke kitne rup hain ru-e-ana se puchh

Manohar Lal Hadi

insāñ ke kitne ruup haiñ rū-e-anā se pūchh
sāz-e-ġharaz se maslahat-e-ḳhushnumā se pūchh
tere safar kī raah meñ kitne sarāb haiñ
merī nigah se pūchh mire naqsh-e-pā se pūchh
kitne haiñ saañp hujra-e-iḳhlās meñ na gin
mailī ridā se pūchh darīda qabā se pūchh
ik sirf tere qasr pe bijlī girī thī kyuuñ
mat pūchh us ke adl se apnī ḳhatā se pūchh
kyā kyā milā hai zindagī-e-be-sabāt se
kaliyoñ se pūchh ġhuncha-e-rañgīñ-adā se pūchh
aasī kī kyā shanāḳht hai ma.asūm kī hai kyā
ye baat bārgāh-e-sazā-o-jazā se pūchh
itnī kaḌī thī dhuup tire rāste meñ kyuuñ
'hādī' ye aaj ḳhāliq-e-karbobalā se pūchh
Top Urdushayar.com