Manohar Lal  Hadi

charcha is ek baat ka dasht-o-daman mein tha

Manohar Lal Hadi

charchā is ek baat kā dasht-o-daman meñ thā
kis kā latīf haath zuhūr-e-chaman meñ thā
kāñTā thā husn-e-zāt kā kartā na kyuuñ ḳhalish
yak-gūna haz-o-lutf bhī lekin chubhan meñ thā
us shaḳhs ke zamīr ne kar lī thī ḳhud-kushī
paudā havas kā jis kī tamannā ke ban meñ thā
sayyāra-e-gunāh kā saaya jidhar paḌā
taare siyāh-posh the sūraj gahan meñ thā
yalġhār kar rahī thī mozāhim pe dam-ba-dam
kis darja garm ḳhuun anā ke badan meñ thā
go merī baat par use 'hādī' yaqīñ to thā
shak-o-gumāñ kā rañg bhī us ke chalan meñ thā
Top Urdushayar.com