shab-gazīda ke ghar nahīñ aatī
ḳhvāb meñ bhī sahar nahīñ aatī
kyā suneñ des kī sunā.eñ kyā
koī achchhī ḳhabar nahīñ aatī
ā.īna dūsroñ kī jānib hai
apnī sūrat nazar nahīñ aatī
aap muñh meñ zabān rakhte haiñ
baat karnī magar nahīñ aatī
dars dete haiñ vo mohabbat kā
jin ko zer-o-zabar nahīñ aatī
merī qismat hai yā pachhal-pīrī
lauT jaatī hai ghar nahīñ aatī
bin tire kuchh nazar nahīñ aatā
tujh ko 'atiya' nazar nahīñ aatī