Arif Abbasi

tapish-e-dil na rahi sozish-e-jaan baqi hai

Arif Abbasi

tapish-e-dil na rahī sozish-e-jāñ baaqī hai
sho.ala-e-ishq kahāñ sirf dhuāñ baaqī hai
be-hisī meñ bhī ye ehsās rahā hai aksar
ek nashtar sā qarīb rag-e-jāñ baaqī hai
mai-kasho gardish-e-daurāñ se hirāsāñ kyuuñ ho
sar-e-mai-ḳhāna abhī abr-e-ravāñ baaqī hai
zikr aatā hai jafāoñ kā tire naam ke saath
dil-e-barbād kā itnā to nishāñ baaqī hai
muddateñ ho ga.iiñ paimān-e-vafā ko TuuTe
is jafā jū se magar rabt-e-nihāñ baaqī hai
zindagī silsila-e-ishrat-e-mauhūm sahī
ġham-e-salāmat hai to āsā.ish-e-jāñ baaqī hai
manzil-e-tark-e-tamannā hai janāb-e-'ārif'
dil meñ ab bhī havas-e-lāla-ruḳhāñ baaqī hai
Top Urdushayar.com