hālāt ke dariyāoñ meñ ḳhatre ke nishāñ tak
chal pā.eñge kyā aap mire saath vahāñ tak
maiñ mulk-badar sabr bhī kar saktī thī lekin
ye dekhnā thā zulm kī sarhad hai kahāñ tak
ḳhuddār tabī.at ko guzartī hai girāñ-bār
jab tishna-labī jaatī hai ḳhud āb-e-ravāñ tak
ham jur.at-e-iz.hār ke us daur se guzre
jis daur meñ alfāz kī kāñTī thī zabāñ tak
tā-hadd-e-nazar bahtā thā ik samt samundar
ik samt magar pyaas se aiñThī thī zabāñ tak