bulandiyoñ kā thā jo musāfir vo pastiyoñ se guzar rahā hai
tamām din kā sulagtā sūraj samundaroñ meñ utar rahā hai
tumhārī yādoñ ke phuul aise sahar ko āvāz de rahe haiñ
ki jaise ThanDī havā kā jhoñkā mirī galī se guzar rahā hai
alag haiñ nazreñ alag nazāre ajab haiñ rāz-o-niyāz saare
kisī ke jazbe chamak rahe haiñ kisī kā ehsās mar rahā hai
ajiib josh-e-junūñ hai us kā ajiib tarz-e-vafā hai merā
maiñ lamha lamha simaT rahī huuñ vo reza reza bikhar rahā hai
nazar meñ rañgīn shāmiyāne mohabbatoñ ke na.e fasāne
ye kaun hai dil ke vasvasoñ meñ jo mujh ko bechain kar rahā hai
tamām alfāz miT chuke haiñ bas ek saf.ha abhī hai baaqī
use musalsal maiñ paḌh rahī huuñ jo naqsh dil par ubhar rahā hai
vo mere ashkoñ ke aa.ine meñ sajā hai 'mīnā' kuchh is tarah se
ki jaise shabnam ke qatre qatre meñ koī sūraj sañvar rahā hai