āñkhoñ meñ rañg pyaar ke bharne lagī huuñ maiñ
ā.īna sāmne hai sañvarne lagī huuñ maiñ
āñkhoñ meñ us kī pā ke ishāre vafāoñ ke
gahre samundaroñ meñ utarne lagī huuñ maiñ
manzil na qāfila na musāfir na rāhbar
ye kaise rāstoñ se guzarne lagī huuñ maiñ
ahbāb ke fareb-e-musalsal ne ye kiyā
parchhā.iyoñ se apnī hī Darne lagī huuñ maiñ
aflāk jab anā ke pighalte hue mile
par apnī aarzū ke katarne lagī huuñ maiñ
'mīnā' tasavvurāt meñ parchhā.iyāñ sī haiñ
jaane ye zindagī hai ki marne lagī huuñ maiñ