Meena Naqvi

tez jab gardish-e-haalat hua karti hai

Meena Naqvi

Nagina, Uttar pradesh, India

tez jab gardish-e-hālāt huā kartī hai
raushnī din kī siyah raat huā kartī hai
rañj aur ġham kī jo barsāt huā kartī hai
daulat-e-ishq kī ḳhairāt huā kartī hai
jab ḳhayāloñ meñ dabe paañv vo aa jaatā hai
vo mulāqāt mulāqāt huā kartī hai
us kī ḳhāmoshī bhī tūfāñ kā patā detī hai
us kī har baat meñ ik baat huā kartī hai
jis pe rishtoñ ke nibhāne kī ho zimmedārī
us ke hisse meñ faqat maat huā kartī hai
ye bhī hotā hai mohabbat meñ suḳhan kā andāz
lab nahīñ khulte magar baat huā kartī hai
jaltā rahtā hai charāġhoñ meñ rifāqat kā lahū
hijr kī raat bhī kyā raat huā kartī hai
din kī bechainiyāñ rātoñ kī taḌap be-ḳhvābī
us kī chāhat kī ye sauġhāt huā kartī hai
Top Urdushayar.com