ye mat samajhnā faqīr huuñ maiñ
anā ke haq meñ kasīr huuñ maiñ
mujhe sitāra samajhne vāloñ
falak pe badr-e-munīr huuñ maiñ
hai munsifī mere dam se qaa.em
adālatoñ kī mushīr huuñ maiñ
hai mujh meñ zanjīr chāhatoñ kī
mohabbatoñ kī asiir huuñ maiñ
haqīqateñ mujh meñ ḳhema-zan haiñ
sadāqatoñ kī safīr huuñ maiñ
kahāñ ga.ī ishq kī vo shiddat
na tū vo rāñjhā na hiir huuñ maiñ
kahāñ rahā tīrgī kā aalam
azal se raushan-zamīr huuñ maiñ
sajā hai sheroñ meñ dard 'mīnā'
ġhazal ke lahje kī 'mīr' huuñ maiñ