is baras fasl-e-bahārāñ kī tarah vāpas aa
to mirī jaan hai jānāñ kī tarah vāpas aa
muntazir kab se hai tāroñ kā samundar terā
shaam se shahr-e-nigārāñ kī tarah vāpas aa
is tarah aa ki añdheroñ meñ ujālā jaage
ek shab sham-e-farozāñ kī tarah vāpas aa
phuul ban jā.eñgī sūraj kī dahaktī kirneñ
dasht meñ rañg-e-gulistāñ kī tarah vāpas aa
is se pahle ki gurezāñ hoñ ye ḳhushbū lamhe
tū mire ahd-e-gurezāñ kī tarah vāpas aa
aa ki ham DhūñDh leñ ashkoñ meñ hañsī ke lamhe
tū bhī is gardish-e-daurāñ kī tarah vāpas aa
tujh pe lāzim hai vafāoñ kā bharam rakh lenā
bhūle-bisre kisī paimāñ kī tarah vāpas aa
kaun suntā hai vahāñ terī sadā.eñ 'mīnā'
apne ghar shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah vāpas aa