Jigar Barelvi

maut aai kitni bar nai zindagi hui

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
maut aa.ī kitnī baar na.ī zindagī huī
niklī magar na phāñs jigar meñ chhupī huī
ab ho bhī koī mā.il-e-lutf-o-karam to kyā
hotī nahīñ shagufta tabī.at bujhī huī
mausam yahī bahār kā hai ishq ke liye
aatī nahīñ palaT ke javānī ga.ī huī
kuchh zahr kā nasha hai to kuchh thartharī sī hai
rag rag meñ aaj hai koī shai pairtī huī
āb-e-hayāt bhī koī chhiḌke agar to kyā
bujhtī nahīñ hai aag jigar meñ lagī huī
aa.ī hai saañs dūsrī nashtar liye hue
ik saañs meñ hameñ jo masarrat kabhī huī
har roz ek dard nayā dil meñ hai 'jigar'
har raat sochte haiñ ki had dard kī huī
sahrā meñ chal ke ġham ko bhulā do uTho 'jigar'
dekho vo aa rahī hai ghaTā jhūmtī huī
Top Urdushayar.com