us ke aane kī ḳhabar chupke se laatī hai havā
raat meñ sub.h kī mānind jagātī hai havā
naġhmagī saaz meñ sāñsoñ ke utar jaatī hai
dil ke sahrāoñ meñ jab jhūmtī-gātī hai havā
abr kuchh der baras ke jo chalā jaatā hai
der tak peḌ kī shāḳhoñ ko rulātī hai havā
jab se ik phuul se chehre ne nazar pherī hai
aisā lagtā hai ki is shahar se jaatī hai havā
ret par yuuñ haiñ bagūloñ kī qatāreñ 'mīnā'
aaj bhī naqsh-e-qadam us ke miTātī hai havā