Meena Naqvi

KHudi ko aa gai hansi umid ke sawal par

Meena Naqvi

Nagina, Uttar pradesh, India

ḳhudī ko aa ga.ī hañsī umiid ke savāl par
añdhere tilmilā uThe charāġh kī majāl par
ye chāhatoñ kā dard hai ye qurbatoñ kā hashr hai
jo dhuup chhup ke roī āftāb ke zavāl par
ye jaan kar ki chāñd mere ghar meñ jagmagā.egā
sitāre aaj shaam se hī aa ga.e kamāl par
nazar meñ zindagī kī phuul mo'atabar na ho sake
ḳhizāñ ko e'tirāz thā bahār se visāl par
ḳhabar ye der se uḌī ki maut se mafar nahīñ
parind jab utar chuke shikāriyoñ ke jaal par
zamāna jis kī zindagī meñ qadr kuchh na kar sakā
ab āsmān ro rahā hai us ke intiqāl par
kahāñ vo 'mīnā' chāhatoñ kī shiddatoñ kā silsila
kahāñ ye be-niyāziyāñ hamāre arz-e-hāl par
Top Urdushayar.com