jab use dekhā zarā nazdīk se
tab samajh paa.e haiñ thoḌā Thiik se
baat jab hai dil ho ḳhud hī be-qarār
vo mohabbat kyā mile jo bhiik se
bhuul baiThe qadr-dānī kā chalan
log ham-rishta haiñ ab taz.hīk se
raushnī kā jashn sā hai har taraf
phir bhī chehre haiñ ka.ī tārīk se
ye jalī lafzoñ meñ likhā thā kahīñ
inqalāb aatā hai ik tahrīk se
apnā bhī andāz hai 'mīnā' alag
chal rahe haiñ haT ke thoḌā leak se