haiñ ajnabī rāstoñ ke manzar shanāsā koī Dagar nahīñ hai
qadam qadam par sa.ūbateñ haiñ safar to hai ham-safar nahīñ hai
chaman ke shaidā.iyoñ se ik din savāl ye pūchhnā hai mujh ko
khilā jo pur-ḳhār jañgaloñ meñ vo phuul kyuuñ mo'atabar nahīñ hai
maiñ band āñkhoñ ke ā.inoñ meñ tumhārī aamad kī muntazir huuñ
chale bhī aao mirī mohabbat kā rāsta pur-ḳhatar nahīñ hai
tumhārī ḳhushbū churā rahī huuñ misāl-e-bād-e-sahar maiñ lekin
nigāh sūraj kī chubh rahī hai tumheñ ye shāyad ḳhabar nahīñ hai
ye ġhazleñ nazmeñ ye dil ke jazbe ye mahke mahke ḳhayāl saare
sajā rahī huuñ maiñ lafz apne kisī kī mujh par nazar nahīñ hai