Jigar Barelvi

abhi diwangi mein kuchh kami mahsus hoti hai

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
abhī dīvāngī meñ kuchh kamī mahsūs hotī hai
abhī ai shiddat-e-ġham zindagī mahsūs hotī hai
abhī mujh meñ koī shai aur bhī mahsūs hotī hai
abhī idrāk-e-vahdat meñ kamī mahsūs hotī hai
na jaane zaḳhm-e-dil kī aaj gahrā.ī kahāñ pahuñchī
phaTā jaatā hai siina vo ḳhushī mahsūs hotī hai
samāyā jaatā hai jaise koī rag rag meñ dil ban kar
yūñhī ġham meñ koī shai aur bhī mahsūs hotī hai
shab-e-tārīk hai vīrāna hai mahviyyat-e-ġham hai
ajab aalam meñ qurbat aap kī mahsūs hotī hai
azal se maut ne ab tak ka.ī qālib badalvā.e
magar jo choT thī dil meñ vahī mahsūs hotī hai
jahāñ vo baiTh jaa.e gir ke manzil hai vahī us kī
jise har gaam par vāmāñdgī mahsūs hotī hai
kisī kī yaad ko har dam bhulā.e rakhtā huuñ phir bhī
khaTaktī dil meñ nok-e-ḳhār sī mahsūs hotī hai
bayābāñ kī kashish ab le uḌegī dil ke zarroñ ko
ki har har saañs par vāraftagī mahsūs hotī hai
jahāñ dil zabt-e-ġham se ḳhuun ho jaatā hai siina meñ
vahīñ kuchh ruuh ko bālīdgī mahsūs hotī hai
agar siine meñ dil rakhte ho tum to aaj batlā do
tumheñ bhī merī betābī kabhī mahsūs hotī hai
vafūr-e-talḳh-kāmī se ye uqda khul gayā āḳhir
jo hotī hai to ġham meñ zindagī mahsūs hotī hai
koī jiine ko samjhe māya-e-ishrat burā kyā hai
mujhe to ik ibādat zindagī mahsūs hotī hai
ġhazal se ai 'jigar' andāza kar merī tabī.at kā
ġhazal meñ kaifiyat kuchh ruuh kī mahsūs hotī hai
Top Urdushayar.com