vo hai apnā ye jatānā bhī nahīñ chāhte ham
dil ko ab aur dukhānā bhī nahīñ chāhte ham
aarzū hai ki vo har baat ko ḳhud hī samjhe
dil meñ kyā kyā hai dikhānā bhī nahīñ chāhte ham
ek parde ne banā rakkhā hai donoñ kā bharam
aur vo parda haTānā bhī nahīñ chāhte ham
tohmateñ ham pe lagī rahtī haiñ lekin phir bhī
āsmāñ sar pe girānā bhī nahīñ chāhte ham
ḳhud-numā.ī hameñ manzūr nahīñ hai hargiz
aise qad apnā baḌhānā bhī nahīñ chāhte ham
das se milnā hai use ek haiñ un meñ ham bhī
is tarah us ko bulānā bhī nahīñ chāhte ham
ham se milne kī taḌap jab nahīñ us ko 'mīnā'
haath phir us se milānā bhī nahīñ chāhte ham