ġham nahīñ hai chāhe jitnī tīrgī qaa.em rahe
mujh pe bas terī nazar kī chāñdnī qaa.em rahe
is liye oḌhe hue huuñ maiñ ḳhizāoñ kī ridā
mere gulshan kī fazā meñ tāzgī qaa.em rahe
ham-nashīñ itnā batā de kyā karūñ tere baġhair
kis tarah sāñsoñ se aarī zindagī qaa.em rahe
rañg-e-ulfat kī baqā ke vāste mere ḳhudā
āshiqī qaa.em rahe aur dilbarī qaa.em rahe
khāre paanī kā samundar yuuñ huā mujh ko atā
umr bhar hoñToñ pe mere tishnagī qaa.em rahe
jab harīf-e-jāñ hī dil kī dhaḌkanoñ meñ aa base
ġhair mumkin hai kisī se dostī qaa.em rahe
bo.e 'mīnā' raat ke khetoñ meñ yuuñ sūraj ke biij
apnī koshish hai jahāñ meñ raushnī qaa.em rahe