haiñ ahl-e-nazar yahāñ pe sabhī ġhalat koī kaam ho na sake
sharāb-e-kuhan vo pī ke chale jo mast-e-ḳhirām ho na sake
na koī lagan na dil meñ chubhan na rashk-e-suḳhan na rañg-e-chaman
nahīñ thā jinheñ shu.ūr-e-vafā vo aalī maqām ho na sake
jo tīra-shabī ne chhoḌā mujhe to dil se mire uThī ye sadā
ujāle zarā ḳhayāl rahe sahar kabhī shaam ho na sake
the hoñT mire usī ke liye zamāne se be-qarār magar
ye qaid mujhe lagā dī ga.ī ki lab pe vo naam ho na sake
lahū meñ nahā ke vo hī chalā likhā thā jabīñ pe jis kī ḳhudā
the aur bhī da.ave-dār yahāñ magar vo imaam ho na sake
ḳharīd ke lā na pāoge tum mileñge nahīñ dūkāñ pe usuul
the sāhab-e-zar hazār magar vafā ke ġhulām ho na sake
bañdhā ke mirī ummīd kisī ne duur kahīñ khilā.e gulāb
thā shauq-e-junūñ balā kā magar payām-o-salām ho na sake