Meena Naqvi

kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein

Meena Naqvi

Nagina, Uttar pradesh, India

kabhī ziyāda kabhī kam rahā hai āñkhoñ meñ
ik intizār kā mausam rahā hai āñkhoñ meñ
kabhī hai ḳhushk kabhī nam rahā hai āñkhoñ meñ
Thahar Thahar ke ye zamzam rahā hai āñkhoñ meñ
basā huā hai tasavvur meñ ik hasīñ paikar
koī ḳhayāl mujassam rahā hai āñkhoñ meñ
nazar ke sāmne aa.ī haiñ kitnī tasvīreñ
usī kā aks magar ram rahā hai āñkhoñ meñ
vo qurbatoñ kā tasavvur vo lams kā jaadū
sadā-bahār ye mausam rahā hai āñkhoñ meñ
ulajh ke rah ga.e nīndoñ ke ḳhvāb palkoñ par
koī ḳhayāl yuuñ paiham rahā hai āñkhoñ meñ
lab-e-ḳhamosh pe 'mīnā' hai nauha-e-hijrāñ
darūn-e-zāt ye mātam rahā hai āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com