tirā ġham hai to ye jazboñ kī rau meñ bah nahīñ saktā
kisī ke haq meñ merā dil ġhalat kuchh kah nahīñ saktā
havā achchhī hai us kī aur na paanī us kā achchhā hai
maiñ is shahr-e-munāfiq meñ to ik din rah nahīñ saktā
ye shahr-e-dil nahīñ bastī hai ye fatvā faroshoñ kī
yahāñ apne ḳhudā ko maiñ ḳhudā bhī kah nahīñ saktā
zamīñ sūraj ke chāroñ-samt gardish ab bhī kartī hai
ye sach hai phir bhī maiñ apnī zabāñ se kah nahīñ saktā
palaT kar ik-na-ik din apnī fitrat par vo aa.egā
vo kaT kar apne mehvar se hamesha rah nahīñ saktā
maiñ insāñ huuñ mirī fitrat zamīnī hai miyāñ-'najmī'
bahut din tak sar-e-bām-e-falak maiñ rah nahīñ saktā