ye saarī bāteñ chāhat kī yuuñ hī kartā rahūñgā
mohabbat meñ magar kuchh kuchh kamī kartā rahūñgā
mirī nazroñ meñ hai juġhrāfiya us ke badan kā
tasavvur bāñdh lūñgā shā.irī kartā rahūñgā
milegā jab talak mujh ko na vo jān-e-tamannā
maiñ sab kāmoñ ko apne multavī kartā rahūñgā
milūñ jis se ḳhafā do din meñ kar detā huuñ us ko
maiñ āḳhir tā-kujā ye ablahī kartā rahūñgā
tū apnā dil na chhoTā kar lahū hai tan meñ jab tak
maiñ roz-o-shab tirī khetī harī kartā rahūñgā
koī aa.e na kholūñgā maiñ ab darvāza-e-dil
sunūñgā dastakeñ aur an-sunī kartā rahūñgā
junūñ meñ kar ke kuchh us ko dikhānā bhī to hogā
maiñ kab tak us se va.ade kāġhzī kartā rahūñgā
ba-juz kār-e-hunar maiñ kar bhī kyā saktā huuñ 'najmī'
yahī kartā rahā huuñ aur yahī kartā rahūñgā