Haneef Najmi

kushud-e-kar ki KHatir KHuda badalte rahe

Haneef Najmi

kushūd-e-kār kī ḳhātir ḳhudā badalte rahe
charāġh-e-nazr the har āstāñ pe chalte rahe
faqīr-e-ishq haiñ apnā koī Thikānā hai kyā
havā meñ uḌte rahe pāniyoñ par chalte rahe
ham ahl-e-dil ne chhuā tak nahīñ kabhī koī phuul
havā-parast magar toḌte masalte rahe
phisal ke tum bhī abas sun ga.e hamāre saath
hameñ to yuuñ bhī phisalnā thā so phisalte rahe
na us ke lams kī garmī na us ke qurb kī aañch
tasavvur us kā thā aisā ki bas pighalte rahe
vo ik jagah na kahīñ rah sakā aur us ke saath
kirāya-dār the ham bhī makāñ badalte rahe
Top Urdushayar.com