nāzish-e-gul huā kare koī
dil se kāñTā judā kare koī
bahte haiñ baat baat par aañsū
aisī āñkhoñ ko kyā kare koī
jab kisī baat meñ asar hī nahīñ
kyā davā kyā duā kare koī
kaun hai vo jo dard-mañd nahīñ
kis kī kis kī davā kare koī
jab kaleje meñ tiir ho paivast
na karāhe to kyā kare koī
zabt kī had hai maut tak lekin
phir sitam ho to kyā kare koī
kuchh nahīñ jis meñ dard-e-dil kā ilaaj
aisī duniyā kā kyā kare koī
aa chalā lutf-e-zindagī ham ko
dard ab to sivā kare koī
maut hai imtihān-e-shauq 'jigar'
varna kyūñkar vafā kare koī