so.e hue zehnoñ meñ nādīda saverā hai
sūraj ke bhī ugne par har samt añdherā hai
afsurda diloñ meñ bhī armānoñ kā Derā hai
sūkhī huī shāḳhoñ par chiḌiyoñ kā baserā hai
maiñ sāf-tabī.at huuñ kuchh dil meñ nahīñ rakhtā
kyā soch ke muñh tum ne ā.īne se pherā hai
jaa.eñ to kidhar jaa.eñ bahke hue manzil se
dhūpeñ bhī ghanerī haiñ saaya bhī ghanerā hai
'jumbish' koī aa jaa.e is vaqt ḳhayāloñ meñ
tanhā.ī kā aalam hai ehsās ne gherā hai