sahrā meñ jo dīvāne se bād-e-sabā uljhī
har mauj-e-gul-e-tar se vo zulf-e-dotā uljhī
ilzām nahīñ tujh par ai bādiya-paimā.ī
dīvāne kī qismat se sahrā kī havā uljhī
pāband-e-nazākat thī nairañgī-e-gul-chīnī
surḳhī-e-gul-e-tar se hāthoñ kī hinā uljhī
yā husn-e-kashish meñ jaañ aur aap ne Daalī hai
yā shoḳhī-e-fitrat hai dar-parda hayā uljhī
ḳhāmosh tajallī kī fitrat maiñ samajhtā huuñ
kyuuñ ḳhirman-e-dil se hī ai barq-e-adā uljhī
dil meñ tirī yādoñ ne vo bijliyāñ chamkā.īñ
āñkhoñ se marī aa kar sāvan kī ghaTā uljhī
zāmin mirī uljhan ke uljhe hue gesū haiñ
be-vaj.h mirī 'jumbish' kab tab-e-rasā uljhī