Jumbish Khairabadi

phul khilte hi agar panw mein chhaale honge

Jumbish Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1930
phuul khilte hī agar paañv meñ chhāle hoñge
ai junūñ dasht-navardī ke bhī laale hoñge
un pe ho jā.eñge ta.amīr haqīqat ke mahal
ham ne jo ḳhvāb kabhī zehan meñ paale hoñge
bandagī merī tire dar kī jabīñ-sā.ī hai
mere sajde tire qadmoñ ke havāle hoñge
muskurātā hai har ik zaḳhm dil-e-bismil kā
hañs ke qātil ne bhī armān nikāle hoñge
ai bahārān-e-chaman vaqt kā ehsās rahe
khil ga.e phuul to kāñToñ ke havāle hoñge
inqalāb aa hī gayā sehn-e-chaman meñ 'jumbish'
ab bahāroñ ke bhī andāz nirāle hoñge
Top Urdushayar.com