Jumbish Khairabadi

jhum ke saghar kaun uThae kis ko paDi maiKHane ki

Jumbish Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1930
jhuum ke sāġhar kaun uThā.e kis ko paḌī maiḳhāne kī
saaqī ko bhī hosh nahīñ hai qismat hai paimāne kī
gulshan gulshan yuuñ phirtī hai chāk-garebāñ phuul kī ḳhushbū
jaise sabā ne phailā dī ho baat kisī dīvāne kī
dīvane-pan kī ghāTī meñ aql kā sūraj Duub chalā
shahr-e-taḳhayyul par chhā.ī hai shaam kisī vīrāne kī
saare sahāre chhūT chale haiñ sub.h kā taarā Duub chalā
phir bhī tamannā soch rahī hai baat kisī ke aane kī
zinda rah kar hī pahuñchegā pyaar kā naġhma galiyoñ galiyoñ
baat adhūrī rah jaatī hai jal-bhun kar parvāne kī
bedardoñ ke daur meñ hai 'jumbish' ḳhūn-e-tamannā hone do
koī na koī aañsū surḳhī de degā afsāne kī
Top Urdushayar.com