Jumbish Khairabadi

sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega

Jumbish Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1930
savād-e-manzar-e-ḳhvāb-e-pareshāñ kaun dekhegā
asīr-e-zulf ho kar shām-e-hijrāñ kaun dekhegā
guloñ kī dilkashī fasl-e-bahārāñ kaun dekhegā
na hoñge jab hamīñ rañg-e-gulistāñ kaun dekhegā
shab-e-ġham tum na aa.e ġham nahīñ ġham hai to ye ġham hai
mire dāman pe ashkoñ kā charāġhāñ kaun dekhegā
gudāz-e-sham.a kī sūrat javāz-e-ġham karo paidā
ye parvāno tumhārā soz-e-pinhāñ kaun dekhegā
qayāmat meñ laboñ par shikva-hā-e-pur-jafā lā kar
tirī ma.asūm fitrat ko pashemāñ kaun dekhegā
yaqīnan shauq ke pardoñ ko bhī āñkhoñ se uThnā hai
nahīñ to hashr meñ kal rū-e-jānāñ kaun dekhegā
garebāñ phaaḌ kar 'jumbish' chalo phūloñ kī mahfil meñ
ye sahrā hai yahāñ hāl-e-pareshāñ kaun dekhegā
Top Urdushayar.com