ḳhāmushī hī ḳhāmushī meñ dāstāñ bantā gayā
merā har aañsū mire ġham kī zabāñ bantā gayā
aap kā ġham jab sharīk-e-qalb-o-jāñ bantā gayā
ashk kā har qatra bahr-e-be-karāñ bantā gayā
zulm TuuTā hī kiye qaa.em rahī shān-e-amal
bijliyāñ girtī rahīñ aur āshiyāñ bantā gayā
dhīre dhīre yaad un kī dil meñ ghar kartī rahī
rafta rafta ishq un kā juzv-e-jāñ bantā gayā
merī hastī bhī tire jalvoñ meñ gum hotī ga.ī
terā jalva bhī faroġh-e-lā-makāñ bantā gayā
rañg laayā is qadar zauq-e-jabīn-e-bandagī
har nishān-e-sajda terā āstāñ bantā gayā
jab tak ai 'jumbish' rahe vo mā.il-e-lutf-o-karam
har nafas ik zindagī-e-jāvidāñ bantā gayā