zindagī maut ke āġhosh se paidā karnā
Duub kar bahr meñ tūfān se khelā karnā
aa.e ronā bhī to hañsne kā irāda karnā
josh-e-ġham meñ na kabhī zabt se guzrā karnā
dekhnā shauq kī fitrat ko na rusvā karnā
chashm-e-mushtāq yūñhī un kā nazāra karnā
rañg lā.egā ajab jalva-gah-e-mahshar meñ
zauq-e-dīdār mirā aap kā parda karnā
mauj-e-fitrat kā har andāz hai taḳhrīb-shi.ār
ai chaman-zār bahāroñ se na rishta karnā
bahut āsān thā rabbī-arinī kah denā
koī āsāñ na thā jalvoñ kā nazāra karnā
chāk-dāmānī-e-gul bar-sar-e-merāj-e-bahār
hai junūñ-ḳhez adā hosh kā da.avā karnā
sīkhiye uqda-kushā.ī kī adā.eñ 'jumbish'
na huā kuchh bhī ye taqdīr kā shikva karnā