Khaleel Husain Balooch

be-rahm dil ki himaqaton ke asir hain

Khaleel Husain Balooch

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1984
be-rahm dil kī himāqatoñ ke asiir haiñ
tabhī sar-nigūñ haiñ nadāmatoñ ke asiir haiñ
shab-e-vasl ishq kī chāñdnī kā ġhurūr the
vahī log hijr kī vahshatoñ ke asiir haiñ
hue sar ba-kaf haiñ jo āñdhiyoñ kī uḌaan par
ye charāġh ishq kī hurmatoñ ke asiir haiñ
jinheñ apnī quvvat-e-zabt pe kabhī naaz thā
vahī ashk dard kī shiddatoñ ke asiir haiñ
koī ishq thā jo kisī ke jaane se mar gayā
koī zaḳhm hijr kī iddatoñ ke asiir haiñ
jinheñ ai ḳhudā tirī āyatoñ se hī buġhz hai
vahī bahr-o-bar kī najāsatoñ ke asiir haiñ
kahāñ vo zamīñ ko sunā sake haiñ nidā-e-dil
mire lafz arsh kī vus.atoñ ke asiir haiñ
jinheñ daan kar ke chale ga.e ho azāb-e-jāñ
vo anā-parast se ibratoñ ke asiir haiñ
hamī sher likhte haiñ tīr-o-neza kī nok par
hamī sar-phire haiñ baġhāvatoñ ke asiir haiñ
kabhī tum nayā koī zaḳhm do ki sunā sakūñ
abhī sher ġham kī samā.atoñ ke asiir haiñ
vo ḳhudā-parast 'ḳhalīl' jo sar-e-dār haiñ
ham unhī ke qurb kī lazzatoñ ke asiir haiñ
Top Urdushayar.com