mohabbat tum se hai lekin judā haiñ
hasīñ ho tum to ham bhī pārsā haiñ
hameñ kyā is se vo kaun aur kyā haiñ
ye kyā kam hai hasīñ haiñ dilrubā haiñ
zamāne meñ kise fursat jo dekhe
suḳhnavar kaun shai haiñ aur kyā haiñ
miTāte rahte haiñ ham apnī hastī
ki āgāh-e-mizāj-e-dilrubā haiñ
na jaane darmiyāñ kaun aa gayā hai
na vo ham se na ham un se judā haiñ
kabhī ro ro ke sochegī ye duniyā
abhī ham kyā batā.eñ aah kyā haiñ
nahīñ bantī hai kuchh bhī kahte sunte
ajab kuchh gū-magū meñ mubtalā haiñ
ye terī be-ruḳhī ye sargirānī
jiye jaate haiñ jo ham be-hayā haiñ
jigar bantā nahīñ kuchh karte dharte
ki bilkul jaise ham be-dast-o-pā haiñ