kī ehtiyāt dal ne bahut par kahā gayā
chhoḌī jo un kī raah to dar dar kahā gayā
saaqī ne mere naam pe sāġhar paTak diyā
tishna-labī ko merā muqaddar kahā gayā
har chashm-e-iltifāt ke husn-e-nigāh ko
ā.īna-e-ḳhulūs kā jauhar kahā gayā
ehsās-e-husn-e-zarf se miltī hai aabrū
paanī kī ek buuñd ko gauhar kahā gayā
ai sub.h kī kiran ye ḳhayālāt-e-zindagī
vo baat kaun thī jise ghar ghar kahā gayā
parvāziyoñ kī sharh nazar tak na kar sakī
lekin ḳhayāl-e-tā.ir-e-be-par kahā gayā
nairañgiyoñ kī baat hai ai āriz-e-jamāl
sho.ala dahak uThā to gul-e-tar kahā gayā
'jumbish' sakūñ-navāz-mizājī ko chhoḌiye
ḳhāmoshi-e-hayāt ko akasr kahā gayā