sambhal kar aah bharnā ai asīr-e-dām-e-tanhā.ī
kahīñ hāthoñ se chhuT jaa.e na dāmān-e-shakebā.ī
ajab andāz rakhtī hai adā-e-dasht-paimā.ī
ki ḳhud hī ḳhaar baḌh kar chūmte haiñ pā-e-saudā.ī
jo rañg-e-husn-e-ḳhāmoshī hai vo khotī hai goyā.ī
huā jab lab-kushā ġhuncha to bāhar bū nikal aa.ī
abhī to bas tasavvur hai tumhāre āstāne kā
abhī dekhā kahāñ tum ne mirā zauq-e-jabīñ-sā.ī
kuchh is andāz se chheḌā nigāh-e-nāz-e-jānāñ ne
ki rah rah kar hamāre dil ke zaḳhmoñ ko hañsī aa.ī
rahe inkār meñ iqrār kā e.ajāz bhī pinhāñ
karo ḳhūn-e-vafā lekin ba-andāz-e-masīhā.ī
araq-āgīñ jabīñ insāniyat kī ho ga.ī 'jumbish'
ki daur aayā hai vo sharm-o-hayā kī aañkh bhar aa.ī