ġham-hā-e-mohabbat kā asar dekh rahā huuñ
bikhre hue dāman pe guhar dekh rahā huuñ
ai husn-e-ruḳh-e-yār jidhar dekh rahā huuñ
ik hasb-e-taḳhayyul o nazar dekh rahā huuñ
ik nuur kī duniyā hai mirī shauq kī manzil
har zarre ko ḳhurshīd-e-nazar dekh rahā huuñ
tum aur abhī husn ke pardoñ ko uThāo
maiñ aaj had-e-tāb-e-nazar dekh rahā huuñ
har aah sharar-ḳhez hai murġhān-e-qafas kī
dāmān-e-fuġhāñ sho.ala-asar dekh rahā huuñ
yuuñ kākul-o-ruḳh apne tasavvur meñ haiñ 'jumbish'
ik marhala-e-shām-o-sahar dekh rahā huuñ