Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri

teri yaaden hain jinhen dil mein basa rakkha hai

Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri

terī yādeñ haiñ jinheñ dil meñ basā rakkhā hai
ham ne is aag ko siine meñ dabā rakkhā hai
shahr ho dasht-e-tamannā ho ki dariyā kā safar
terī tasvīr ko siine se lagā rakkhā hai
ye to mumkin hī nahīñ husn kā faizān na ho
ishq ne husn ko armān banā rakkhā hai
kaisā sūraj hai ki detā nahīñ zulmat ko shikast
kyuuñ añdheroñ ne ujāloñ ko dabā rakkhā hai
tishnagī apnī miTā le ki hañsnegī duniyā
pī to le sāġhar-e-taslīm-o-razā rakkhā hai
haq ke lashkar meñ sipāhī haiñ bahut thoḌe se
ham ne hī hausla bātil kā baḌhā rakkhā hai
kab nikalnā hai use ye bhī batā saktī hai
zulmat-e-shab ne bhī sūraj kā pata rakkhā hai
ḳhūgar-e-zabt haiñ rusvā na kareñge tujh ko
ham ne duniyā se tire ġham ko chhupā rakkhā hai
dil jo TuuTe haiñ unheñ joḌ ke dikhlāo 'shahīd'
varna in kashf-o-karāmāt meñ kyā rakkhā hai
Top Urdushayar.com