jahān-e-fikr-o-nazar kā sabāt le ke gayā
vo sirf dil hī nahīñ kā.enāt le ke gayā
vo ahd-e-rafta vo ulfat vo ehtirām-e-vafā
gayā to saath meñ saarī sifāt le ke gayā
bhaTak rahe the sarāb-e-nazar liye har-sū
shu.ūr-e-ishq jahāñ dil ko saath le ke gayā
maiñ sirf us ko taġhāful kahūñ to kaise kahūñ
gayā to saath meñ har iltifāt le ke gayā
ġhurūr le ke marā iḳhtiyār-e-hastī kā
tū apnī fikr-e-hayāt-o-mamāt le ke gayā
lahad vahī hai magar aa chuke na.e murde
to vaqt laash kī sab bāqiyāt le ke gayā
zamīr bechne vaale vo terā saudā-gar
zamīr hī nahīñ zaat o sifāt le ke gayā
vo aur kuchh bhī na rakhtā thā jism o jaañ ke sivā
sunā 'shahīd' matā-e-hayāt le ke gayā