yādoñ kā jazīra shab-e-tanhā.ī meñ
masrūf hai yādoñ kī pazīrā.ī meñ
ab bhī vahī iz.hār-e-taġhāful kā mizāj
ab bhī vahī andesha shanāsā.ī meñ
isbāt nafī ho ki nafī ho isbāt
kyuuñ jā.ūñ maiñ alfāz kī gahrā.ī meñ
kuchh log to manzil kī ḳhabar bhī le aa.e
ham mast rahe lazzat-e-ḳhud-rā.ī meñ
chhoḌūñ bhī ḳhayāl un kā to kyā hāsil ho
kyā ḳhaak kamī aa.egī rusvā.ī meñ
aane meñ masīhā ko thā pahle hī hijāb
nāseh bhī thā andesha-e-rusvā.ī meñ
tafrīq ke ḳhūgar to sabhī ek hue
masrūf haiñ ham log saf-ārā.ī meñ
kis darja masarrat hai ki ab ḳhūn-e-'shahīd'
kaam aayā tirī anjuman-ārā.ī meñ