lamhoñ ne yuuñ sameT liyā fāsla bahut
maiñ ne paḌhā to kuchh na thā lekin paḌhā bahut
kitne junūñ-navāz bichhaḌ ke chale ga.e
josh-e-junūñ ke saath na thā valvala bahut
Duubā safīna jis meñ musāfir koī na thā
lekin bhare hue the vahāñ nā-ḳhudā bahut
sau dā.eroñ meñ baT ke numāyāñ na ho sake
socho agar to hogā bas ik dā.era bahut
shāyad yahī kitāb-e-mohabbat ho lā-javāb
merī vafā ke saath hai terī jafā bahut
zaḳhmoñ ke saath saath namak-pāshiyāñ bhī thiiñ
dekhā hai mere ishq ne ye silsila bahut
āñkhoñ meñ dam Tikā hai vo aa jaa.eñ is ghaḌī
dast-e-talab hai mere liye ye duā bahut
tujh ko 'shahīd' sāda-dilī kī nazar lagī
imkān varna tere liye bhī rahā bahut