ajiib kaifiyat āḳhir talak rahī dil kī
farāz-e-dār meñ bhī justujū thī manzil kī
vo husn jis se milā hai mujhe shu.ūr-e-vafā
ḳhudā nahīñ thā to kyuuñ vahi-e-ishq nāzil kī
tarāshe kitne hī but āzarī ke fan ne magar
milī na ek bhī sūrat tire muqābil kī
ab āñkheñ band haiñ taaki koī samajh na sake
mirī nigāh meñ tasvīr hogī qātil kī
dimāġh diida o dil sab ne roknā chāhā
magar junūñ ne mirī har dalīl bātil kī
isī ko kahte haiñ sāhil pe rah ke tishna-labī
talāsh hai tirī mahfil meñ jān-e-mahfil kī
ye baat sach hai ki marnā sabhī ko hai lekin
alag hī hotī hai lazzat nigāh-e-qātil kī
thā rahbaroñ pe bharosa to ab bhaTaktā huuñ
mujhe ḳhabar hī nahīñ thī fareb-e-manzil kī
miyāñ 'shahīd' ye maanā ki tum bhī shā.er ho
magar batāo ki haq āgahī bhī hāsil kī