Mohammad Salim

bit gaya hai pyar ka mausam ghar ghar sahra jaisa hai

Mohammad Salim

Darbhanga, Bihar, India

1933
biit gayā hai pyaar kā mausam ghar ghar sahrā jaisā hai
dil ke darvāze par ab to ḳhāmoshī kā pahrā hai
saat samundar paar jo aa kar dasht-e-fazā ko dekhā hai
ret kā manzar āñkhoñ meñ hai dil meñ ḳhauf kā dariyā hai
us kī kashtī Duub ga.ī thī biich bhañvar meñ aa ke magar
kis mushkil se jaan bachā kar sāhil tak vo aayā hai
zulmat kī rāhoñ meñ ham bhī gum ho kar rah jaate magar
nuur kā paikar saath hamāre aage aage chaltā hai
bhuul gayā huuñ sab kuchh 'sālim' mujh ko kuchh bhī yaad nahīñ
yādoñ ke ā.īne meñ ab ik ik chehra dhundlā hai
Top Urdushayar.com