Qamar Anjum

rabta rakh tirgi se raushni ko chhoD de

Qamar Anjum

Lucknow, Uttar pradesh, India

1971
rābta rakh tīrgī se raushnī ko chhoḌ de
jo aziyyat-nāk ho aisī ḳhushī ko chhoḌ de
jānte sab haiñ ki is ke baad hai daur-e-ḳhizāñ
kyuuñ na dāmān-e-bahār-e-zindagī ko chhoḌ de
vaqt apne aap meñ ik fitna-e-bedār hai
vaqt ke kahne pe koī kyuuñ kisī ko chhoḌ de
is se pahle tujh ko nazroñ se girā de ye jahāñ
maan le kahnā ḳhudārā be-hisī ko chhoḌ de
vaqt par 'anjum' na tere kaam aa.egā koī
dostoñ se pher le muñh dostī ko chhoḌ de
Top Urdushayar.com