ḳhudā kī shaan vo ḳhud ho rahe haiñ dīvāne
jo rāh-e-dasht se aa.e the ham ko palTāne
nikal chale to haiñ tarġhīb-e-dil pe ham ghar se
kahāñ lageñge Thikāne ye ab ḳhudā jaane
na dil rahā na rahī dil kī ḳhaak bhī baaqī
huzūr aa.e haiñ ab intizār farmāne
jo dil kī aag se vāqif baneñ vo kyā jaane
lipaT ke sham.a se kyuuñ jal rahe haiñ parvāne
nigāh jin ko milī hai vo lutf lete haiñ
chhalak rahe haiñ paḌe kaifiyat se vīrāne
nahīñ hai siine meñ paivast jis ke tīr-e-nigāh
vo rāh-o-rasm hayāt-o-mamāt kyā jaane
chale to haiñ ki dikhā.eñge un ko chiir ke dil
pahuñch sakeñge ham un tak ye ab ḳhudā jaane
ghaTe to chain nahīñ hai baḌhe to chain nahīñ
hameñ lagā hai ye kyā rog koī pahchāne
hai sar pe bojh to kyā hai magar baḌhe niklo
na uTh sakoge jo baiThe zarā bhī sustāne
tamām umr huī ek hī ravish pe 'jigar'
hazār baar hameñ āzmāyā duniyā ne