Qamar Anjum

sham-e-wada hai agar ab bhi na wo aae to phir

Qamar Anjum

Lucknow, Uttar pradesh, India

1971
shām-e-va.ada hai agar ab bhī na vo aa.e to phir
aur is ġham meñ jo dhaḌkan dil kī ruk jaa.e to phir
jis se tum dāman-kashāñ ho zindagī kī raah meñ
ruuh kī gahrā.iyoñ meñ vo utar jaa.e to phir
tujh ko hai jis kī vafāoñ par nihāyat e'timād
reza reza kar ke vo tujh ko bikhar jaa.e to phir
amn kā parcham liye phirte ho saare shahr meñ
aur nañg-e-ādmi.yat tum hī kahlā.e to phir
lakḌiyoñ ke ghar meñ miTTī kā diyā achchhā nahīñ
raushnī ke badle is meñ aag lag jaa.e to phir
Top Urdushayar.com