Qamar Anjum

koi bahar se koi andar andar TuT jata hai

Qamar Anjum

Lucknow, Uttar pradesh, India

1971
koī bāhar se koī andar andar TuuT jaatā hai
jab insāñ aatā hai gardish kī zad par TuuT jaatā hai
agar maiñ miT gayā hālāt se to is meñ hairat kyā
musalsal choT paḌtī hai to patthar TuuT jaatā hai
sahar ke vaqt jab sūraj nikalnā chāhtā hai to
falak kī god meñ tāroñ kā lashkar TuuT jaatā hai
nahīñ hai bad-nasībī ye to is ko kyā kahā jaa.e
bhalā lagtā hai jo āñkhoñ ko manzar TuuT jaatā hai
ḳhushī kā daur aa.egā liye haiñ ḳhvāb āñkhoñ meñ
magar kyā kījiye ye ḳhvāb aksar TuuT jaatā hai
Top Urdushayar.com