Qamar Anjum

usko nazrana-e-jaan pesh kiya hai maine

Qamar Anjum

Lucknow, Uttar pradesh, India

1971
us ko nazrāna-e-jāñ pesh kiyā hai maiñ ne
yuuñ subūt apnī vafāoñ kā diyā hai maiñ ne
ai mire dāman-e-sad-chāk pe hañsne vaale
yaad kar terā garebāñ bhī siyā hai maiñ ne
ḳhud-kushī kī mire dil ne mujhe dī hai tarġhīb
jab kisī ġhair kā ehsān liyā hai maiñ ne
ġhairat-e-ishq ko pāmāl na hone dūñgā
zindagī tujh se yahī ahd kiyā hai maiñ ne
ai mirī ḳhāk-e-vatan tujh se maiñ sharminda nahīñ
bārhā apnā lahū tujh ko diyā hai maiñ ne
yuuñ to marne ke liye zahr piyā jaatā hai
zindagī tere liye zahr piyā hai maiñ ne
zindagī mujh se bachāne lagī dāman 'anjum'
jab ġham-e-dil ko farāmosh kiyā hai maiñ ne
Top Urdushayar.com